How To

Flipkart Pay Later Enable Kaise Kare

Agar aap Flipkart se bahut jyada product purchase karte hain so aaj iss post ko last tak jarur padhe. Aaj iss post mei hum aapko batayenge ki flipkart Pay Later Kya hai? Aur Flipkart Pay Later EMI kya hai? Aur Ise Enable Kaise Kare? So aaiye jaante hain aaj iss post mei ek dum baariki se aur aap asaani se flipkart pay later & emi le sakte hai

What Is Flipkart Pay Later?

Flipkart Pay Later ek tarah se keh sakte hain ki loan, Flipkart Hame loan de raha hai jii haa guys flipkart aapko kuchh amount dega  jiska aap use kar sakte hain kisi product ko purchase karne ke liye.

Uske baad aap jitne kaa bhi Product kharidenge uska paisa aapko agle month pay karna hai, aapko jitna bhi amount milega flipkart pay later pe aap utna ka hi product purchase kar sakte hain usse jyada ka bilkul bhi nahi.

Jaise ki mujhe milta hai ₹2000 to mujhe ₹2000 tak hi Product purchase karna hai usse jyada ka bilkul bhi nahi. Aur aap jab bhi flipkart pay later ka use karenge kisi product ko purchase karne ke liye to wo paise agle mahine 5 date se pehle dena hai.

What Is Flipkart Pay Later EMI?

Jaise ki aapne upar article mei jaana ki Flipkart Pay Later Kya hai? Flipkart Pay Later mei hum kisi product ko purchase karne ke baad paisa agle mahine dete hain. But flipkart pay later emi se aap har mahine paise de kar kisi bhi product ko EMI pe le sakte hain.

Jaise ki maine koi bhi ek product kharida jiska value hai ₹15000 aur isko maine purchase kiya flipkart ke pay later emi se aur iska maine 6 month ke liye liya to mujhe har mahine ₹2500 dene honge aur baaki flipkart jo bhi apna intrest add karega wo hame dena padega.

To flipkart pay later emi iss tarah se kaam karta hain, lekin agar aap koi Smartphone purchase karte hain flipkart pay later emi se aur time to time paise nahi bharte hain to aap par penalty bhi lagaya jaa sakte hai aur aapke Smartphone ko off bhi kiya jaa sakta hai.

Flipkart Pay Later EMI ₹70000 kaise le?

Flipkart par aapko ₹70000 tak ka pay later value mil sakta hai agar aapka financial achha hoga mujhe flipkart par pehle ₹2000 ka amount mila tha jisse maine kayi saare product ko purchase kiya hai.

Flipkart Pay Later se kharido 15% Off

Agar aapko flipkart par pay later mil jata hai aur aap koi bhi product kharidenge aur payment flipkart pay later se karnege to aapka 15% off milega aur ye first transaction par hi milega. To aap Flipkart pay later ka pura faayda utha sakte hain.

Flipkart Pay Later enable kaise kare?

Flipkart Pay Later enable karna bahut easy hai iske liye aapke pass Aadhar Card hona chahiye, Pan Card Hona Chahiye aur aapke aadhar number pe mobile number registered bhi hona chahiye.

Bas ye 2 chij aapke pass hoga to aapko flipkart pay later mil Jayega aur aap iska pura pura use karke faayda utha sakte hain. Guys kuchh case mei aapko flipkart par flipkart pay later naa bhi mil sakte hain to aap har month try karen jarur milega.

Agar aapko flipkart par emi nahi milta hai sirf flipkart pay later milta hai to aapko flipkart pay later emi kuchh dino baad milega. Mere case mei mujhe ₹2000 mila tha uske baad maine flipkart pay later use karke bahut saare product managaye aur time to time maine paise pay kar diye.

Aur ab mujhe flipkart pay later emi bhi mil gaya jiska value hai ₹15000 ab main ₹15000 ka koi bhi product purchase kar sakta hun aur flipkart pay later emi se har mahine pay kar sakta hun.

Flipkart Pay Later EMI Apply karne ke liye

Agar main aapko iss article mei bataunga ki flipkart pay later emi ke liye apply kaise kare to shayad hi aapko samajh aayega iske liye aap iss video ko dekhen.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button