How To Change Font On Realme Device Without Root
Realme Phone colour os pe run karta hai aur realme phones ke user market mei kayi jyada hain par jab hum ek hi phone use karte hain to thoda use karna boring sa lagta hai lekin agar wahi phones mei kuchh customisation kar de to aapka phone aur bhi acha dikhne lagta hai aur mobile chalane maza aur bhi badh jata hai.
so guys aaj iss post mei main aapko yahi batane wala hun ki aap realme ke kisi bhi device mei custom font kaise laga sakte hain to aaiye jaante hain iss post mei.
waise aapko realme ke device kuchh font free mei mil jaate hain par utna jyada best nahi lagte haain agar aap wahi pe koi dusra font install karenge realme phone se to uske liye aapko kuchh paise dene honge jo ki bahut hi “COSTLY” hota hai.
agar aap iss post ko careful read karte hain to aap free mei koi bhi font download karke install kwr sakte hain.
•Step 1
open google play store app,
search ” zfont app” and install.
zfont apk:- download here
and aapko open karna z font application ko.
•Step 2
iss app mei aapko bahut saare free font dekhne ko mil jata hai jo ki kaafi good hai, yaha pe aapko alag alag tarah ke fonr dekhne ko milta hai jaise ki ” emoji fonr” “stylish fonr” “colour font” to aapko jo bhi font sahi lage aapko uspe click karna hai.
•Step 3
agar aapko font pasand aaata hai to aapko ” apply ” par click karna hai jaisa aapko upar image mei show ho raha hai.
jaise hi apply par click karenge aapse kuchh aur bhi puchha jayega Yanni ki aapse puchha jayega ki aap kis method se font install karna chahte hain to aapko 2md option choose karna hai matlab click kar dena hai uske baad aapko install karne kahega uspe click karke install kar dena ha
•Step 4
ab aapko apne mobile ki “setting” mei jana hai aur aapko scroll down karna hai aapko “additional setting” ka options mil jayega uspe click karna hai aur uske baad “langauge and region” ka option milega uspe click karna hai uske baad aapko sabse end mei “region” ka option milega uspe click kar dena hai aapko waha pe search karna “myanmar” aur isko select kar dena hai.
jaise hi aap apply Karenge aapko support dia character ka option mil jayega simply usko enable kar dena hai aur aapka jo bhi font install kiya hoga wo apply ho jayega.
so guys jaisa ki aapne dekha iss post mei ki kaise free mei custom font install karte hain aur apply karte hain agar ye post aapko pasand aaya ho to apne realme phone ke jitne bhi friends and family hain unke sath share jarur karna.