Youtube Channel Search Me Kaise Laye
Hii guys main hoon Perwez aur aapka welcome mere website techperwez.com pe. Guys agar aapne ek YouTube channel banaya hai aur aapka channel youtube pe search mei nahi aata hai to iss post ko end tak jarur padhe. Agar aapne youtube channel kaafi dino se bana rakha hai ya fir avi new banaye hain. aur aapkaa Channel bilkul bhi show nahi karta YouTube mei to aapko kuchh tips follow karne hain. Aapka channel 100% search mei aayega.
1. UNIQUE NAME
Sabse pehle aapko youtube channel ka naam ek dum unique rakhna hai. Agar aap simple apna naam rakhenge to aapka channel kabhi bhi search mei nahi aayega. Kyunki ek simple naam se youtube pe bahut saare channel hain isliye aapko unique rakhna hai. Agar mera naam perwez hai to main yaha pe perwez ke aage ek unique naam laga dunga aur apne youtube channel pe unique naam rakhne se pehle isko Youtube pe search kar lenge aur dekhenge ki iss naam se koi aur Channel to available nahi hai youtube pe. Agar aapke youtube channel ke naam se koi channel nahi aata hai to aap apne channel ka naam rakh lenge.
2. Youtube Channel Seo
Ek unique naam rakhne ke sath sath aapko apne youtube channel pe seo bhi karna hai.
Seo- Search Engine Optimization sabse jaruri hai aapke youtube channel ke liye isse faayda hota hai ki agar aap simple naam bhu rakh lenge youtube pe to aap seo karke apne youtube channel ko search mei laa sakte hain. Iske liye aapko aaj se hi video banana start karna hai agar aapne youtube channel banaya hai to iska matlab hai ki aap video jarur upload karenge youtube channel pe.
STEP 1.
Video Ke Tittle Mei Apne Channel Ka Naam Lagaye Lekin sirf aapko video hi upload nahi karna hai balki aapko youtube jab aap video upload Karenge to aapko video ke tittle mein apne channel ka naam mention karna hai. Jaise ki main koi video banaya aur oos video mei humne tittle likha hai ” Youtube Channel Search Mei Kaise Laye ” to hum iss tittle ke sath apna naam laga denge.
STEP 2.
Description Mei Apne Channel Ka Naam Lagaye Tittle ke sath sath jaruri hai ki aap apne video ke description mei apne channel ka naam jarur lagaye aur aapka youtube channel ka naam jo bhi hai uske sath # hashtag lagayenge.
STEP 3.
iss step ko aapko yt studio app mei lagana hai iske liye open YT studio> click on Video> click on upper pen icon> and add tag. Aapko tittle aur Description ke sath sath tag bhi lagana hai aur jab aapke video pe views aane start honge to aapka channel search mei aane lagega. Aur ye 3 step jo main aapko bataya hai wo aapko sirf ek hi video pe nahi karna hai aapko har ek video pe karna hai tabhi aapka youtube channel jald search mei aayega.
Bonus Tips
Guys aapko kosis ye karna hai ki jitna ho sake aap searchable topic pe video banaye aur keywords ko target karke video banaye aur keywords ko tittle description and tag mei lagaye aapka channel bahut jald hi search page aur number 1 pe show hoga.
3. Apne Channel Ka Keyword Jarur Lagaye
Guys ye wala jo tips hum bata rahe hain isko jarur follow kare iske liye aapko chrome browser open karna hai. Uske baad aapko 3 dot pe click karke Desktop Site pe click karke enable kare. Uske baad aapko search karna hai studio.youtube.com .
Iss tarah se aapko search karna hai aur aapka dashboard open ho Jayega chrome browser pe uske baad aapko down side Setting ka icon show hoga uspe click karenge.
Uske baad Second number pe Channel Likha hoga uspe click karenge aur uske baad right side mei basic info dikh Jayega uske just down side pe aapko keywords ka option milega yaha pe aapko apne youtube channel ke naam ka keywords lagana hai.
Keywords Aise Lagaye
Jaise ki mera Channel ka naam hai techperwez to aapko techperwez, tech perwez, tech perwez youtube channel, so isi tarah se comma ( , ) ka use karna hai apne youtube channel ke naam ke sath. Aur isko alag alag tarah se lagana hai aapka channel 100% search mei aane lagega to ise follow jaur karen.
Last Word:-
I hope ki guys aaj ka ye post aapko kaafi pasand aaya hoga agar ye post aapko pasand aaya ho to apne family and friends ke sath share jarur karen.
Tags:-
youtube channel search me kaise laye, How To make your YouTube channel searchable 2020, अपना चैनल सर्च लिस्ट में कैसे लाएं?,