SEO क्या होता है और कैसे काम करता है
Agar aap ne blogging start kiya hai ya fir youtube channel start kiya hai to aapko pata hona chahiye ki blogging aur youtube ko aage tak le jaane ke liye SEO karna padta hai. So aaj iss post mei hum aapko batayenge ki SEO क्या होता है और कैसे काम करता है aur kaise use kiya jata hai.
So aaiye jaante hain aaj iss post mei hello guys main hoon Perwez aur aapka bahut hi welcome hai mere iss site pe.
SEO क्या है – What Is SEO
SEO search engine optimization ek aisa technique hai jisse hum apne post ya page ko ya fir youtube videos ko Search Engine mei top par le jaate hain ya kehlo rank karte hain.
Search Engine Kya Hai?
Aaiye SEO jaanne se pehle jaante hain search engine kya hai to sabse pehle aapko bata de Google world ka most popular search engine hain. Iske baad bing, yahoo jaise search engine hain. To hum SEO karke apne post aur youtube video ko ko SEO me rank karte hain.
Jaise ki hum maan lete hain ki humne Google pe kuchh bhi keywords typ karke search kiya aur oos keywords se bahut saare post aaye. Wo post google ne dikhaya wo saare post alag alag blog se dikhaya jata hai.
Jo hamein sabse upar dikhai deta hai wo Google no.1 pe rank hai. Tabhi wo hamei sabse upar dikhai de raha hai. Aur jab koi post google search pe no.1 pe aata hai to log oose hi click karke dekhte hain.
Isse hamare post pe views aate hain aur hamari earning increase hoti hai.
SEO hamare post ya blog ko Google mei no.1 pe rank karne mei help karta hai. Yah ek technique hai jo hamare post ko google ke no.1 pe rank karti hai aur hamare visitors badhte hain.
Youtube Channel Search Mein Kaise Laye
Seo Blog Ke Liye Kyun Jaruri Hai?
Ab aapko malum to ho gaya hoga ki SEO क्या हैto aaiye ab jaante hain ki Seo aakhir jaruri kyun hai hamare blog aur post ke liye.
Agar humne ek professional website bana liya hai aur content ek dum high quality ke upload kar rakhe hain to bahut achhi baat hai par jab tak ispe visitors nahi aayenge to fir aise website ka koi fayda nahi hai.
Iske liye aapko SEO karna hoga apne website pe tabhi aapke website pe visitors badhenge aur aapka earning hoga.
Isliye jab aap koi post likhen to sabse pehle apne content ka jo keywords oose google pe search jarur karen aur dekhen log iss keywords ka kitna use kar rahe hain.
Aur aap alag alag tarah ke keywords ka use karen apne blog mei aur blog post ke andar aise mei aapka website dheere dheere google ke search engine mei rank karega.
So ab aapko ye bhi samajh aa gaya hoga ki SEO kyon jarur hain hamare post aur blog ke liye.
Types Of SEO in hindi
SEO bhi do types ke hote hain Onpage SEO aur dusra Offpage SEO. in dono kaam bilkul alag hai chaliye isko bhi jaante hain.
1. On-Page SEO kya hota hai?
On Page SEO ka kaam blog mei hota hai. Iska matlab hai ki apne website ko thik tarike se design and seo friendly banana.
SEO ke rule ko follow karke apne website me template ka use karna. Aur achhe content likhna aur unme se achhe se keywords ka use karna. Jo ki isko search engine mei khojne mei asaani ho
Sabse jaruri hai ki aap keywords ko achhe se Tittle, Meta Description, Content mei keywords ka use karna aise mei google ko samajhne mei asaani hoti hai. Aur aapka post rank bhi asaani se hoga.
Jisse ki aapke blog pe visitors ka number badhega aur aapka earning bhi badhegi.
Off Page SEO kaise kare?
1. Search Engine Submission:
apne blog ko sahi se saare search engine mei submit karna chahiye.
2. Bookmarking:
apne blog ya website ke page aur post ko Bookmarking waale website mei submit karna chahiye.
3. Directory Submission:
apni blog aur website ko popular high PR waali directory Website mei submit karna chahiye.
4. Social Media:
apni blog ya website ka page aur social media par profile banana chahiye apni website ka link ad karna chahiye.
5. Q & A site:
aap question and answer waali website mei jaa kar apne website ka link de sakte hain.
guys agar iss post se aapko help mila hoto mere iss website ka notification on jarur kar lena aur apne doston ke sath share jarur kar dena.